Thursday, April 4, 2013

Marz-e-Ishq

Kabhi socha hai ki marz-e-ishq ki dawaa kyun nahi ijaad ki aadmi ne?

Bas riwaaz bana diye jo beemari ko pehchaan ne se saaf inkaar kar dete hain
Bas mashooka bana diye jo jaadu tona kar ruh mein ghus jaate hain 

Bas majnu bana diye jo beemari ko kayam rakhne ke mansube sikhaate hain
Bas paimaane bana diye jo chalak chalak ke dil ka haal bayaan karte hain

Bas shayar bana diye jo dard ko bakhubi dugna kar jaate hain
Bas nazm bana diye jo marz ke har pehlu ko rumaani bana lete hain

Bas mausam bana diye jo aate jaate zakhm pe namak chidkaate hain
Bas chaand bana diye jo raat raat jaag kar marhoom ki pattiyan karte rehte hain

Bas dil banaa diye jo marz ko behla phusla kar apni girah mein qaid kar lete hain
Bas aansoo bana diye jo bin matlab namkeen barsaat kar ghaav ko hara-bhara karte hain

Kabhi socha hai ki marz-e-ishq ki dawaa kyun nahi ijaad ki aadmi ne?



No comments:

Post a Comment