Thursday, May 28, 2015

Hum Harjai

Mausam badalta hai
Aasmaan ka kya?

Hawa rukh mod leti hai
Ek sookhe patte ka kya?

Rishtey kho se jaate hain
Jazbaaton ka kya?

Izhaar-e-ishq karte hain log
Dard-e-mohabbat ka kya?

Waqt guzarta hai
Yaadon ka kya?

Woh kehta hai humari fitrat harjai si hai
Jo hum pe baras gaya, uss toofan ka kya?