Monday, January 7, 2013

Kaala Dil

Kalmuha kaala dil
Saare phasaad ki yeh ek hi jad hai
Masle ka koi hal nahi iske paas
Bas zoro se dhadakna iske liye har masle ka tod hai

Dekho toh kaale dil ki himmat
Har taraf bawaal sa macha diya
Sar dukha, aankhein bhari, hont kaanpe
Kaale dil ne phir se raita phaila diya

Na-umeed hoke dhokha khaake
Pal bhar na sambhla kaala dil
Banjara ban phire dagar dagar
Kya pata dhund raha kis BEWAFA ki manzil

Dimaag ko leta chungal mein kaala dil
Phasaata apne utpatang tarkeibon mein
Bevkuf dimaag sochta BEWAFA ko dhundne ke naye mansube
Dhyan na deta kaam ya kitaabon mein

Din guzre, mahine huye
Par BEWAFA ka ata pata nahi tha
Sar, pair, dimaag sab dhund ke thak chuke the
Kaala dil bhi chup sa baitha tha

Itne mein rab ko kya mazaak soojha
BEWAFA ka pataa bata diya kaale dil ko
Iss baar jo kaala dil tezi se bhaga
Majaal meri jo rok paata usko

BEWAFA se milne ke aas ne jaise
Armaan jagaa diye kaale dil ke
Har dard, har dagaa ko bhula kar
Pyaar lutaaya phudak phudak ke

BEWAFA se mulaqat hote hi
Kaala dil jhooth-mooth ban jaata sabse nek
Khel khelta kaala dil
BEWAFA mujhe bulata dil phek

Mehnat mushaqat kuch na karta
Kaale dil ko soojhti bas masti
Dekh kar uska bhola kameenapan
Gham bhi uspe hans padti

BEWAFA pe wafa lutaaya
Har jatan uthaya kaale dil ne
Uski ek hansi marham bani
Kaale dil ke puraane zakhm lage bharne

Iss baar bhi pyaar mein har hadd paar kiya
Jaise pehli baar huyi ho kaale dil ko mohabbat
Chahkar bhi usko rok na paaya main
BEWAFA se karne laga woh ibadat

Izhaar-e-ishq mein ek padaav aisa bhi aaya
Kaale dil ne khud ko bhari bazaar mein dav pe lagaya
Shart thi ke BEWAFA aayega wafaii ki mashaal jalaa kar
Aur le jaayega kaale dil ko uske umeedon ke nagar

Mehfil mein purze purze bik gaye kaale dil ke
Woh bhi chan gaaliyon ke bhav
Na BEWAFA aaya na uska koi paigam
Hare ho gaye kaale dil ke bhoole bisre ghaav

Maine poocha kaale dil se
Aur kitni baar muh ke bal girega?
Rondh ke rakh dega BEWAFA tere ruh ko
Tab jaake tujhe chain milega?

Muskurake bola kaala dil
Mera rang toh pehle se kaala
Chahe BEWAFA laakh thokar maare
Kar na paayega mujhe isse zyada maila

Gehri soch mein mujhe uljhaake
Hanste hanste kaala dil aage badha
Do boond aansoo reh gaye peeche
Jahaan main tha akela khada

Magroor ishq se ishq kar
Badnaami ke siwa usse kuch na mila
Par aisa namakul hai kaala dil
Zamaane ke liye misaal-e-mohabbat ban chala


2 comments:

  1. Kabhi Paagal, Kabhi Gustakh aur Ab Kaala...
    Kaisa Hai Yeh Dil Saala...
    Dhadak Dhadak Ke Zinda Rakhe Par...
    Taqleef De Ishq-walaa...

    ReplyDelete